Monday, August 20, 2012

Tum me pehli si baat nahi

¤ Usne kaha "Tumme pehli si baat nahi. . ."
Maine kaha "Zindagi me tera sath nahi. . ."

¤ Usne kaha "Ab bhi kisi ki aankhon me doob jati ho. . . ?"
Maine kaha "Ab kisi ki aankh me wo gehrai nahi. . ."
...

¤ Usne kaha "Kyun itna toot kar chaha mujhe. . . ?"
Maine kaha "Insaan hun, patthar to nahi. . ."

¤ Usne kaha "Kya mai bewafa hun ?"
Maine kaha "Mujhe ab wafa ki talash nahi. . . "

¤ Usne kaha "Bhool jao mujhe. . . ! ! !"
Maine kaha "Tum haqiqat ho, koi khawab nahi. . . . "

No comments:

Post a Comment